falak ki chiz zamin par utar lai gai
falak kī chiiz zamīñ par utaar laa.ī ga.ī
ye ishq kyā thā ki jis meñ anā gañvā.ī ga.ī
hazār janmoñ kā bandhan kahā thā us ne jise
ye dostī to faqat do qadam nibhā.ī ga.ī
tire laboñ se chhalaktī rahī sharāb magar
ham aise tishna-laboñ ko nahīñ pilā.ī ga.ī
na ḳhush-adā hī thī vo aur na dil-rubā thī magar
hamārī zid thī so zid meñ hī vo paTā.ī ga.ī
maiñ sañg-dil to nahīñ huuñ ki naqsh daa.im ho
tumhārī yaad to ab ho ga.ī hai aa.ī ga.ī
saheliyāñ thiiñ ba-zid aur unheñ thā pās-e-hayā
hamāre naam kī mehñdī nahīñ dikhā.ī ga.ī
mirā vajūd thā uryāñ badan ke paikar meñ
hijāb ke liye terī qabā silā.ī ga.ī
tumhāre saath mirī niiñd ne bhī hijrat kī
agarche niiñd kī golī bahut khilā.ī ga.ī
ab iltifāt kī ummīd mat rakho 'kāshif'
nikāh kyā huā barsoñ kī āshnā.ī ga.ī
falak ki chiz zamin par utar lai gai
ye ishq kya tha ki jis mein ana ganwai gai
hazar janmon ka bandhan kaha tha us ne jise
ye dosti to faqat do qadam nibhai gai
tere labon se chhalakti rahi sharab magar
hum aise tishna-labon ko nahin pilai gai
na KHush-ada hi thi wo aur na dil-ruba thi magar
hamari zid thi so zid mein hi wo paTai gai
main sang-dil to nahin hun ki naqsh daim ho
tumhaari yaad to ab ho gai hai aai gai
saheliyan thin ba-zid aur unhen tha pas-e-haya
hamare nam ki mehndi nahin dikhai gai
mera wajud tha uryan badan ke paikar mein
hijab ke liye teri qaba silai gai
tumhaare sath meri nind ne bhi hijrat ki
agarche nind ki goli bahut khilai gai
ab iltifat ki ummid mat rakho 'kashif'
nikah kya hua barson ki aashnai gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.