falak ko jaise sitaron ne gher rakkha hai
falak ko jaise sitāroñ ne gher rakkhā hai
hameñ yuuñ tere ḳhayāloñ ne gher rakkhā hai
hamāre ghar meñ añdhere bhaTak nahīñ sakte
hamāre ghar ko ujāloñ ne gher rakkhā hai
tumhārī yaad hameñ aise ghere rahtī hai
nadī ko jaise kināroñ ne gher rakkhā hai
hamāre zehn meñ kyā aa.egī koī laḌkī
hamārā zehn to hūroñ ne gher rakkhā hai
ḳhabar ye jis ko milī paḌ gayā vo hairat meñ
ki ek shaḳhs ko lākhoñ ne gher rakkhā hai
tumhāre saath guzāre the jo kabhī ai dost
hameñ to bas inhīñ lamhoñ ne gher rakkhā hai
javāb jin ke zamāne meñ mil nahīñ sakte
mujhe kuchh aise savāloñ ne gher rakkhā hai
tumhāre hijr kā ham ko nahīñ hai koī ġham
tumhāre vasl kī yādoñ ne gher rakkhā hai
jo tum ga.e to na aa.ī koī bahār 'āsim'
hamārā baaġh ḳhizāoñ ne gher rakkhā hai
falak ko jaise sitaron ne gher rakkha hai
hamein yun tere KHayalon ne gher rakkha hai
hamare ghar mein andhere bhaTak nahin sakte
hamare ghar ko ujalon ne gher rakkha hai
tumhaari yaad hamein aise ghere rahti hai
nadi ko jaise kinaron ne gher rakkha hai
hamare zehn mein kya aaegi koi laDki
hamara zehn to huron ne gher rakkha hai
KHabar ye jis ko mili paD gaya wo hairat mein
ki ek shaKHs ko lakhon ne gher rakkha hai
tumhaare sath guzare the jo kabhi ai dost
hamein to bas inhin lamhon ne gher rakkha hai
jawab jin ke zamane mein mil nahin sakte
mujhe kuchh aise sawalon ne gher rakkha hai
tumhaare hijr ka hum ko nahin hai koi gham
tumhaare wasl ki yaadon ne gher rakkha hai
jo tum gae to na aai koi bahaar 'asim'
hamara bagh KHizaon ne gher rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.