falak mein bij bota hun magar ugta nahin kuchh bhi
falak meñ biij botā huuñ magar ugtā nahīñ kuchh bhī
maiñ jaisā sochtā huuñ us tarah hotā nahīñ kuchh bhī
maiñ āñkheñ band kar ke zindagī apnī guzārūñgā
bahut kuchh sāmne maujūd hai achchhā nahīñ kuchh bhī
maiñ din bhar kyā kiyā kyoñ yaad rakkhūñ us se kyā hāsil
maiñ kal kyā karne vaalā huuñ abhī sochā nahīñ kuchh bhī
siyāsat falsafe tanzīm va.ade khokhle saare
yahāñ kyā kuchh huā hai aur phir hogā nahīñ kuchh bhī
dikhātā hai sabhī aib-o-hunar aur bhuul jaatā hai
ik ā.īna hai jo dil meñ kabhī rakhtā nahīñ kuchh bhī
yahī 'kishvar'' hai bas umr-e-ḳhizar kā mustahiq yā-rab
tirī duniyā meñ is ne aaj tak dekhā nahīñ kuchh bhī
falak mein bij bota hun magar ugta nahin kuchh bhi
main jaisa sochta hun us tarah hota nahin kuchh bhi
main aankhen band kar ke zindagi apni guzarunga
bahut kuchh samne maujud hai achchha nahin kuchh bhi
main din bhar kya kiya kyon yaad rakkhun us se kya hasil
main kal kya karne wala hun abhi socha nahin kuchh bhi
siyasat falsafe tanzim wade khokhle sare
yahan kya kuchh hua hai aur phir hoga nahin kuchh bhi
dikhata hai sabhi aib-o-hunar aur bhul jata hai
ek aaina hai jo dil mein kabhi rakhta nahin kuchh bhi
yahi 'kishwar hai bas umr-e-KHizar ka mustahiq ya-rab
teri duniya mein is ne aaj tak dekha nahin kuchh bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.