falak par chand jalta hai hum uske sath jalte hain
falak par chand jalta hai hum uske sath jalte hain
Vibha Jain 'Khwaab'
MORE BYVibha Jain 'Khwaab'
falak par chāñd jaltā hai ham us ke saath jalte haiñ
kisī kī yaad meñ ham donoñ saarī raat jalte haiñ
ġhazal meñ āj-kal kah dete haiñ un se ham apne ġham
vagarna ḳhāmushī meñ ghuT ke ham chup-zāt jalte haiñ
hameñ phir yaad aate haiñ tumhārī aañkh ke sūraj
phir aisī aag lagtī hai sar-e-barsāt jalte haiñ
chhuā thā ik dafa tum ne hameñ bātoñ hī bātoñ meñ
hameñ chhūtā hai ab koī to us ke haath jalte haiñ
hamārī hī nazar shāyad lagī hai ishq ko apne
ham apnī ḳhush-nasībī se bhī ba.az-auqāt jalte haiñ
falak par chand jalta hai hum us ke sath jalte hain
kisi ki yaad mein hum donon sari raat jalte hain
ghazal mein aaj-kal kah dete hain un se hum apne gham
wagarna KHamushi mein ghuT ke hum chup-zat jalte hain
hamein phir yaad aate hain tumhaari aankh ke suraj
phir aisi aag lagti hai sar-e-barsat jalte hain
chhua tha ek dafa tum ne hamein baaton hi baaton mein
hamein chhuta hai ab koi to us ke hath jalte hain
hamari hi nazar shayad lagi hai ishq ko apne
hum apni KHush-nasibi se bhi baz-auqat jalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.