falak pe barq chamakti ki chandni hoti
falak pe barq chamaktī ki chāñdnī hotī
kisī tarah to mire ghar meñ raushnī hotī
bachā liyā hai mujhe ḳhud-kushī se logoñ ne
vagarna shahr meñ kal sub.h sansanī hotī
maiñ kah rahā thā na sonā uchhālte chaliye
kahā to mānte hargiz na rahzanī hotī
bigaḌ ga.ī hai to sab uñgliyāñ uThāte haiñ
na kahtā kuchh bhī koī baat agar banī hotī
ye taar taar libāda liye hī kyoñ phirtā
jo mere ghar meñ kahīñ koī alganī hotī
to maiñ bhī chāñdī ke sikkoñ meñ ḳhud ko tulvātā
mujhe jo raah mohabbat kī chhoḌnī hotī
malāl ye hai vo bin baat rūThe baiThe haiñ
vo baat alag thī agar kuchh kahā sunī hotī
jo chāhtā thā maiñ 'gulshan' vo mil bhī saktā thā
agar zabān meñ thoḌī sī chāshnī hotī
falak pe barq chamakti ki chandni hoti
kisi tarah to mere ghar mein raushni hoti
bacha liya hai mujhe KHud-kushi se logon ne
wagarna shahr mein kal subh sansani hoti
main kah raha tha na sona uchhaalte chaliye
kaha to mante hargiz na rahzani hoti
bigaD gai hai to sab ungliyan uThate hain
na kahta kuchh bhi koi baat agar bani hoti
ye tar tar libaada liye hi kyon phirta
jo mere ghar mein kahin koi algani hoti
to main bhi chandi ke sikkon mein KHud ko tulwata
mujhe jo rah mohabbat ki chhoDni hoti
malal ye hai wo bin baat ruThe baiThe hain
wo baat alag thi agar kuchh kaha suni hoti
jo chahta tha main 'gulshan' wo mil bhi sakta tha
agar zaban mein thoDi si chashni hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.