falak pe chand dharti par nazare raqs karte hain
falak pe chāñd dhartī par nazāre raqs karte haiñ
maiñ shab ko baam par aa.uuñ sitāre raqs karte haiñ
tire aane pe jo aksar ḳhushī se maiñ pakaḌtī huuñ
mire hāthoñ ko chhūkar vo ġhubāre raqs karte haiñ
shab-e-furqat ko maiñ jab zindagī meñ joḌnā chāhūñ
judā.ī meñ uThā.e jo ḳhasāre raqs karte haiñ
kabhī hāthoñ meñ le kar haath ham chalte haiñ sāhil par
jo paañv paanī meñ rakkheñ kināre raqs karte haiñ
na jaane kyoñ achānak apnī āñkheñ band kartī huuñ
tire shānoñ pe jab gesū hamāre raqs karte haiñ
kabhī nazreñ churā kar terī jānib dekh letī huuñ
tirī āñkhoñ meñ dekhūñ to ishāre raqs karte haiñ
falak pe chand dharti par nazare raqs karte hain
main shab ko baam par aaun sitare raqs karte hain
tere aane pe jo aksar KHushi se main pakaDti hun
mere hathon ko chhukar wo ghubare raqs karte hain
shab-e-furqat ko main jab zindagi mein joDna chahun
judai mein uThae jo KHasare raqs karte hain
kabhi hathon mein le kar hath hum chalte hain sahil par
jo panw pani mein rakkhen kinare raqs karte hain
na jaane kyon achanak apni aankhen band karti hun
tere shanon pe jab gesu hamare raqs karte hain
kabhi nazren chura kar teri jaanib dekh leti hun
teri aankhon mein dekhun to ishaare raqs karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.