falak pe sham Dhale jo chamakne lagte hain
falak pe shaam Dhale jo chamakne lagte haiñ
vo terī āñkhoñ meñ aa kar damakne lagte haiñ
sukūt-e-shab maiñ tirā naam jab bhī letā huuñ
sahīfe ishq ke dil par utarne lagte haiñ
ġhamoñ kī kaalī ghaTāoñ ko chiir kar jānāñ
tirī tajallī ke sūraj dahakne lagte haiñ
chaman chaman meñ khile phuul le ke naam tirā
tasavvurāt ke gulshan mahakne lagte haiñ
tirī sadāoñ ke ghuñghrū fazā meñ yuuñ chhanke
ki jaise baaġh meñ bulbul chahakne lagte haiñ
tū be-irāda bhī jab zulf apnī jhaTkā.e
sulagte dasht pe bādal barasne lagte haiñ
tū jaan toḌ ke letī hai jab bhī añgḌā.ī
ḳhutūt-e-jism ḳhalā meñ ubharne lagte lagte haiñ
tire junūñ kā bhī 'ejāz' kyā mudāvā ho
ki chhīl lete ho jab zaḳhm bharne lagte haiñ
falak pe sham Dhale jo chamakne lagte hain
wo teri aankhon mein aa kar damakne lagte hain
sukut-e-shab main tera nam jab bhi leta hun
sahife ishq ke dil par utarne lagte hain
ghamon ki kali ghaTaon ko chir kar jaanan
teri tajalli ke suraj dahakne lagte hain
chaman chaman mein khile phul le ke nam tera
tasawwuraat ke gulshan mahakne lagte hain
teri sadaon ke ghunghru faza mein yun chhanke
ki jaise bagh mein bulbul chahakne lagte hain
tu be-irada bhi jab zulf apni jhaTkae
sulagte dasht pe baadal barasne lagte hain
tu jaan toD ke leti hai jab bhi angDai
KHutut-e-jism KHala mein ubharne lagte lagte hain
tere junun ka bhi 'ejaz' kya mudawa ho
ki chhil lete ho jab zaKHm bharne lagte hain
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 221)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.