falak se khinch ke la ya zamin se khinch ke la
falak se khīñch ke lā yā zamīñ se khīñch ke lā
mire buḌhāpe javānī kahīñ se khīñch ke lā
chhupā huā hai jo iqrār us ke dil meñ kahīñ
usī ko bāñdh ke us kī nahīñ se khīñch ke lā
maiñ būḌhī shab se ziyāoñ kā kah ke aaya huuñ
zarā sā chāñd kisī mah-jabīñ se khīñch ke lā
zamīñ-ba-dast zamīñ jā rahī hai us kī taraf
jo ho sake to zamīñ ko zamīñ se khīñch ke lā
falak se khinch ke la ya zamin se khinch ke la
mere buDhape jawani kahin se khinch ke la
chhupa hua hai jo iqrar us ke dil mein kahin
usi ko bandh ke us ki nahin se khinch ke la
main buDhi shab se ziyaon ka kah ke aaya hun
zara sa chand kisi mah-jabin se khinch ke la
zamin-ba-dast zamin ja rahi hai us ki taraf
jo ho sake to zamin ko zamin se khinch ke la
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.