falak se un ko KHuda ke salam aate hain
falak se un ko ḳhudā ke salām aate haiñ
jo dūsroñ kī musībat meñ kaam aate haiñ
kabhī kabhī koī aatā hai un meñ shahzāda
vagarna saiñkaḌoñ bikne ġhulām aate haiñ
haqīqī kaam ye hai vo diloñ pe raaj kare
use par is ke 'alāva bhī kaam aate haiñ
mushāhide se na sīkheñ to tajraba kar leñ
jo sub.h aa nahīñ paate vo shaam aate haiñ
hamārī jeb meñ rakkhe haiñ tajrabe saare
hameñ ye khel zamāne tamām aate haiñ
ye duniyā chhān-phaTak kar banā.egī kundan
yahāñ pe pahle-pahal sab hī ḳhaam aate haiñ
vo ḳhaas log unhī meñ sharīk hote haiñ
tumhārī bazm meñ aksar jo 'aam aate haiñ
tujhe dikhā.ī na dete agar ḳhudā hote
ham is liye tire aage mudām aate haiñ
kisī ne kyoñ na kahā mominīn hadd-e-adab
husain jaise muqaddas imaam aate haiñ
falak se un ko KHuda ke salam aate hain
jo dusron ki musibat mein kaam aate hain
kabhi kabhi koi aata hai un mein shahzada
wagarna sainkaDon bikne ghulam aate hain
haqiqi kaam ye hai wo dilon pe raj kare
use par is ke 'alawa bhi kaam aate hain
mushahide se na sikhen to tajraba kar len
jo subh aa nahin pate wo sham aate hain
hamari jeb mein rakkhe hain tajrabe sare
hamein ye khel zamane tamam aate hain
ye duniya chhan-phaTak kar banaegi kundan
yahan pe pahle-pahal sab hi KHam aate hain
wo KHas log unhi mein sharik hote hain
tumhaari bazm mein aksar jo 'am aate hain
tujhe dikhai na dete agar KHuda hote
hum is liye tere aage mudam aate hain
kisi ne kyon na kaha mominin hadd-e-adab
husain jaise muqaddas imam aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.