falak to kya zamin par bhi nahin hain
falak to kyā zamīñ par bhī nahīñ haiñ
mire paañv kahīñ par bhī nahīñ haiñ
kabhī aañsū gumāñ par mutma.in the
magar ab to yaqīñ par bhī nahīñ haiñ
ye kab uḌne kī bāteñ kar rahe ho
abhī mausam nahīñ par bhī nahīñ haiñ
jo ham haiñ daad se mahrūm to kyā
zabān-e-nukta-chīñ par bhī nahīñ haiñ
kareñ kyā mutma.in 'āsim' kisī ko
makāñ apne makīñ par bhī nahīñ haiñ
falak to kya zamin par bhi nahin hain
mere panw kahin par bhi nahin hain
kabhi aansu guman par mutmain the
magar ab to yaqin par bhi nahin hain
ye kab uDne ki baaten kar rahe ho
abhi mausam nahin par bhi nahin hain
jo hum hain dad se mahrum to kya
zaban-e-nukta-chin par bhi nahin hain
karen kya mutmain 'asim' kisi ko
makan apne makin par bhi nahin hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.