falsafi kis liye ilzam-e-fana deta hai
falsafī kis liye ilzām-e-fanā detā hai
lafz-e-kun ḳhud mirī hastī kā pata detā hai
ho gayā tark-e-marāsim ko zamāna lekin
aaj tak dil tirī nazroñ ko duā detā hai
thartharāte hue hāthoñ se davā ke badle
chāragar aaj na jaane mujhe kyā detā hai
kuchh to hotā hai hasīnoñ ko bhī ehsās-e-jamāl
aur kuchh ishq bhī maġhrūr banā detā hai
soz-e-ulfat se vo kam-māya-e-ġham hai mahrūm
ātish-e-dil ko jo ashkoñ se bujhā detā hai
parda-dārī bhī hai ik maslihat-e-ḳhās-e-jamal
shauq nazzāre kī qīmat ko baḌhā detā hai
zindagī de ke musībat meñ hameñ Daal diyā
koī yuuñ bhī kahīñ be-jurm sazā detā hai
daar mil hī ga.ī mansūr ko vaa.iz varna
kaun duniyā meñ mohabbat kā sila detā hai
haa.e us bekas-o-majbūr kī qismat 'arshī'
shaam se pahle hī jo sham.a jalā detā hai
falsafi kis liye ilzam-e-fana deta hai
lafz-e-kun KHud meri hasti ka pata deta hai
ho gaya tark-e-marasim ko zamana lekin
aaj tak dil teri nazron ko dua deta hai
thartharaate hue hathon se dawa ke badle
chaaragar aaj na jaane mujhe kya deta hai
kuchh to hota hai hasinon ko bhi ehsas-e-jamal
aur kuchh ishq bhi maghrur bana deta hai
soz-e-ulfat se wo kam-maya-e-gham hai mahrum
aatish-e-dil ko jo ashkon se bujha deta hai
parda-dari bhi hai ek maslihat-e-KHas-e-jamal
shauq nazzare ki qimat ko baDha deta hai
zindagi de ke musibat mein hamein Dal diya
koi yun bhi kahin be-jurm saza deta hai
dar mil hi gai mansur ko waiz warna
kaun duniya mein mohabbat ka sila deta hai
hae us bekas-o-majbur ki qismat 'arshi'
sham se pahle hi jo shama jala deta hai
- Book : Taqdeer-e-hina (Pg. 65)
- Author : Arshi Bhopali
- Publication : Hind Offset Printers, Bhopal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.