fan muztarib hisar-e-nazariyat mein raha
fan muztarib hisār-e-nazariyāt meñ rahā
ik be-gunāh jaise havālāt meñ rahā
siine meñ yāsiyat kā dhuāñ dūriyoñ kī shab
dil mash.al-e-murād-e-mulāqāt meñ rahā
hāsil haiñ qalb-e-shahr meñ saarī sahūlateñ
lekin vo ik sukūñ jo mazāfāt meñ rahā
bāñhoñ meñ pur-sukūt samandar sā vo badan
aalam ik intishār kā jazbāt meñ rahā
ik ḳhvāb-e-dil-nashīñ hai mulāqāt kā ma.aal
hāsil hai vo hunar jo use baat meñ rahā
mauj-e-havā ḳhayāl bahā le ga.ī 'nizām'
Duubā huā tū kis ke ḳhayālāt meñ rahā
fan muztarib hisar-e-nazariyat mein raha
ek be-gunah jaise hawalat mein raha
sine mein yasiyat ka dhuan duriyon ki shab
dil mashal-e-murad-e-mulaqat mein raha
hasil hain qalb-e-shahr mein sari sahulaten
lekin wo ek sukun jo mazafat mein raha
banhon mein pur-sukut samandar sa wo badan
aalam ek intishaar ka jazbaat mein raha
ek KHwab-e-dil-nashin hai mulaqat ka maal
hasil hai wo hunar jo use baat mein raha
mauj-e-hawa KHayal baha le gai 'nizam'
Duba hua tu kis ke KHayalat mein raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.