fan wo hai but-gari ka ki fan bolne lage
fan vo hai but-garī kā ki fan bolne lage
harkat sī ho laboñ pe dahan bolne lage
jur.at kahāñ se laa.e koī arz-e-hāl kī
jab husn kī jabīñ pe shikan bolne lage
sūrat-garo hai fan kā tumhāre yahī kamāl
tasvīr kī zabān se fan bolne lage
vīrāna-sāziyoñ kā hunar ham ko aa gayā
aisā na ho ki shahr meñ ban bolne lage
gul-būTe jhūmne lageñ taa.ir hoñ naġhma-ḳhvāñ
tum jaao sair ko to chaman bolne lage
likhiye 'shafīq' aisī salāsat se har ġhazal
misl-e-janāb-e-'dāġh' suḳhan bolne lage
fan wo hai but-gari ka ki fan bolne lage
harkat si ho labon pe dahan bolne lage
jurat kahan se lae koi arz-e-haal ki
jab husn ki jabin pe shikan bolne lage
surat-garo hai fan ka tumhaare yahi kamal
taswir ki zaban se fan bolne lage
virana-saziyon ka hunar hum ko aa gaya
aisa na ho ki shahr mein ban bolne lage
gul-buTe jhumne lagen tair hon naghma-KHwan
tum jao sair ko to chaman bolne lage
likhiye 'shafiq' aisi salasat se har ghazal
misl-e-janab-e-'dagh' suKHan bolne lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.