fana hua koi yahan KHitab koi le gaya
fanā huā koī yahāñ ḳhitāb koī le gayā
ibādateñ kisī kī thiiñ savāb koī le gayā
vafā ke jaam ke liye sajā.e ham ne mai-kade
magar laboñ se chhīn kar sharāb koī le gayā
thī pyaar kī fazā magar zabāñ khulī na lab hile
sitam ye us pe aañkh se bhī aab koī le gayā
ye ḳhushbueñ bikher ke milā hī kyā bahār ko
laraztī shāḳh rah ga.ī gulāb koī le gayā
fasād kī haqīqateñ likhī thiiñ jis meñ harf harf
varaq varaq masal ke vo kitāb koī le gayā
sukūn is tarah luTā dil-e-vafā-shi.ār kā
jo umr-bhar sajā.e the vo ḳhvāb koī le gayā
fareb-e-pāk-dāmanī qadam qadam pe laġhzisheñ
vo 'āmir' aaj umr kā hisāb koī le gayā
fana hua koi yahan KHitab koi le gaya
ibaadaten kisi ki thin sawab koi le gaya
wafa ke jam ke liye sajae hum ne mai-kade
magar labon se chhin kar sharab koi le gaya
thi pyar ki faza magar zaban khuli na lab hile
sitam ye us pe aankh se bhi aab koi le gaya
ye KHushbuen bikher ke mila hi kya bahaar ko
larazti shaKH rah gai gulab koi le gaya
fasad ki haqiqaten likhi thin jis mein harf harf
waraq waraq masal ke wo kitab koi le gaya
sukun is tarah luTa dil-e-wafa-shiar ka
jo umr-bhar sajae the wo KHwab koi le gaya
fareb-e-pak-damani qadam qadam pe laghzishen
wo 'amir' aaj umr ka hisab koi le gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.