fana jaante hain baqa jaante hain
fanā jānte haiñ baqā jānte haiñ
are ham-nashīñ ham vafā jānte haiñ
tirā dekhnā ġham nahīñ us taraf ki
tirī ham yahī ḳhū hayā jānte haiñ
tirī mad-bharī sī nigāhoñ ke maare
tire har sitam ko ravā jānte haiñ
use chāhe jaane kī zid hai azal se
tirā husn ham bā-ḳhudā jānte haiñ
haqīqī majāzī kī tafrīq bejā
tirā 'ishq terī 'atā jānte haiñ
ġham-e-zindagī to nahīñ hai mohabbat
ise ahl-e-dil ham davā jānte haiñ
bhaTaktā nahīñ dar-ba-dar terā 'jogī'
ki vo mustafā murtazā jānte haiñ
fana jaante hain baqa jaante hain
are ham-nashin hum wafa jaante hain
tera dekhna gham nahin us taraf ki
teri hum yahi KHu haya jaante hain
teri mad-bhari si nigahon ke mare
tere har sitam ko rawa jaante hain
use chahe jaane ki zid hai azal se
tera husn hum ba-KHuda jaante hain
haqiqi majazi ki tafriq beja
tera 'ishq teri 'ata jaante hain
gham-e-zindagi to nahin hai mohabbat
ise ahl-e-dil hum dawa jaante hain
bhaTakta nahin dar-ba-dar tera 'jogi'
ki wo mustafa murtaza jaante hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.