fana ki qaid se ek din farar hona hai
fanā kī qaid se ik din farār honā hai
ai aadmī tujhe parvardigār honā hai
vo ek 'arsa jise tum sadī samajhte ho
kisī jahān meñ lamha shumār hotā hai
maiñ tere saath kināroñ meñ bah nahīñ saktā
ai mauj-e-dariyā mujhe be-kanār honā hai
ye kā.enāt hirāsāñ hai apnī vus'at se
abhī to ḳhud pe use āshkār honā hai
shumār kar lo mujhe jab talak maiñ zinda huuñ
phir is ke baa'd mujhe be-shumār honā hai
ye kā.enāt mirā pahlā 'ishq hai 'muqsit'
isī badan se mujhe mushk-bār honā hai
fana ki qaid se ek din farar hona hai
ai aadmi tujhe parwardigar hona hai
wo ek 'arsa jise tum sadi samajhte ho
kisi jahan mein lamha shumar hota hai
main tere sath kinaron mein bah nahin sakta
ai mauj-e-dariya mujhe be-kanar hona hai
ye kaenat hirasan hai apni wus'at se
abhi to KHud pe use aashkar hona hai
shumar kar lo mujhe jab talak main zinda hun
phir is ke ba'd mujhe be-shumar hona hai
ye kaenat mera pahla 'ishq hai 'muqsit'
isi badan se mujhe mushk-bar hona hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.