fana ki shakl badan mein rahi baqa ho kar
fanā kī shakl badan meñ rahī baqā ho kar
baqā rahegī mire jism meñ fanā ho kar
ye uns hai lab-e-har-zaḳhm se mire qātil
jo bad-duā bhī nikaltī hai to duā ho kar
mohabbat-e-sar-e-zulf-e-butāñ ḳhudā jaane
kahāñ se paḌ ga.ī pīchhe mere balā ho kar
nikal paḌī hai mire dil kī ulfat-e-jānāñ
nikal ke jaa.e kahāñ murġh-e-rishta-pā ho kar
ḳhudā hī jaane ki zāhid ne ahd kyoñ toḌā
chalā hai sū-e-sanam-ḳhāna pārsā ho kar
fana ki shakl badan mein rahi baqa ho kar
baqa rahegi mere jism mein fana ho kar
ye uns hai lab-e-har-zaKHm se mere qatil
jo bad-dua bhi nikalti hai to dua ho kar
mohabbat-e-sar-e-zulf-e-butan KHuda jaane
kahan se paD gai pichhe mere bala ho kar
nikal paDi hai mere dil ki ulfat-e-jaanan
nikal ke jae kahan murgh-e-rishta-pa ho kar
KHuda hi jaane ki zahid ne ahd kyon toDa
chala hai su-e-sanam-KHana parsa ho kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.