fana kuchh nahin hai baqa kuchh nahin hai
fanā kuchh nahīñ hai baqā kuchh nahīñ hai
faqat vahm hai mā-sivā kuchh nahīñ hai
mirā uzr is ke sivā kuchh nahīñ hai
ḳhatā-kār huuñ aur ḳhatā kuchh nahīñ hai
na apne hue vo to merā muqaddar
zamāne se mujh ko gila kuchh nahīñ hai
na pūchho mohabbat kā hāsil na pūchho
pashemāniyoñ ke sivā kuchh nahīñ hai
ḳhushī bhī musībat bhī rāhat bhī ġham bhī
jahān-e-mohabbat meñ kyā kuchh nahīñ hai
thā dushvār iz.hār-e-dard-e-mohabbat
ye kyā kam hai jo kah diyā kuchh nahīñ hai
vo sunte the ahvāl anjān ban kar
yahī 'shauq' kahnā paḌā kuchh nahīñ hai
fana kuchh nahin hai baqa kuchh nahin hai
faqat wahm hai ma-siwa kuchh nahin hai
mera uzr is ke siwa kuchh nahin hai
KHata-kar hun aur KHata kuchh nahin hai
na apne hue wo to mera muqaddar
zamane se mujh ko gila kuchh nahin hai
na puchho mohabbat ka hasil na puchho
pashemaniyon ke siwa kuchh nahin hai
KHushi bhi musibat bhi rahat bhi gham bhi
jahan-e-mohabbat mein kya kuchh nahin hai
tha dushwar izhaar-e-dard-e-mohabbat
ye kya kam hai jo kah diya kuchh nahin hai
wo sunte the ahwal anjaan ban kar
yahi 'shauq' kahna paDa kuchh nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.