faqat afsana-e-mazi ko dohrane se kya hoga
faqat afsāna-e-māzī ko dohrāne se kyā hogā
amal bhī kar fareb-e-sar-ḳhushī khāne se kyā hogā
abas zardār bal khātā hai bal khāne se kyā hogā
zamāna jāntā hai inqalāb aane se kyā hogā
bahāroñ kī duā.eñ kyā na leñ nām-e-bahārāñ bhī
chaman vaale agar samjheñ bahār aane se kyā hogā
haqīqī inqalāb aa kar badal detā hai taqdīreñ
barā.e-nām hamdam inqalāb aane se kyā hogā
gulistāñ par na aañch aa.e gulistāñ phir gulistāñ hai
nasheman bijliyoñ kī zad meñ aa jaane se kyā hogā
Dubo kar 'mauj' kī kashtī ye zāhir-dāriyāñ nāhaq
kaho maujoñ se sar sāhil pe Takrāne se kyā hogā
faqat afsana-e-mazi ko dohrane se kya hoga
amal bhi kar fareb-e-sar-KHushi khane se kya hoga
abas zardar bal khata hai bal khane se kya hoga
zamana jaanta hai inqalab aane se kya hoga
bahaaron ki duaen kya na len nam-e-bahaaran bhi
chaman wale agar samjhen bahaar aane se kya hoga
haqiqi inqalab aa kar badal deta hai taqdiren
barae-nam hamdam inqalab aane se kya hoga
gulistan par na aanch aae gulistan phir gulistan hai
nasheman bijliyon ki zad mein aa jaane se kya hoga
Dubo kar 'mauj' ki kashti ye zahir-dariyan nahaq
kaho maujon se sar sahil pe Takrane se kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.