faqat baat dil ki sunai thi tumko
faqat baat dil kī sunā.ī thī tum ko
tumhārī shikāyat lagā.ī thī tum ko
zamāna hameñ dosh detā hai kyūñkar
yahī baat ham ne batā.ī thī tum ko
mohabbat kā jhāñsa thā sab khel terā
jo guzrī thī dil par sunā.ī thī tum ko
bhalā kaise zinda maiñ tum ko milūñgā
paḌī raakh apnī dikhā.ī thī tum ko
tirī dastaras meñ na ā.ūñgā yaarā
yahī baat maiñ nai raTā.ī thī tum ko
na tum se huī paar nazroñ kī dahlīz
milī dil talak bhī rasā.ī thī tum ko
qabīle kī izzat bachā na sake tum
qasam yaad maiñ ne dilā.ī thī tum ko
yaqīñ thā asar tere dil par na hogā
magar jūThī chaa.e pilā.ī thī tum ko
tū jis baat par hai nā 'nāsir' se nālāñ
kabhī ye adā us kī bhaa.ī thī tum ko
faqat baat dil ki sunai thi tum ko
tumhaari shikayat lagai thi tum ko
zamana hamein dosh deta hai kyunkar
yahi baat hum ne batai thi tum ko
mohabbat ka jhansa tha sab khel tera
jo guzri thi dil par sunai thi tum ko
bhala kaise zinda main tum ko milunga
paDi rakh apni dikhai thi tum ko
teri dastaras mein na aaunga yara
yahi baat main nai raTai thi tum ko
na tum se hui par nazron ki dahliz
mili dil talak bhi rasai thi tum ko
qabile ki izzat bacha na sake tum
qasam yaad main ne dilai thi tum ko
yaqin tha asar tere dil par na hoga
magar juThi chae pilai thi tum ko
tu jis baat par hai na 'nasir' se nalan
kabhi ye ada us ki bhai thi tum ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.