faqat do hichkiyon mein KHatm qissa sham-e-gham ka hai
faqat do hichkiyon mein KHatm qissa sham-e-gham ka hai
Muslim Maleganwi
MORE BYMuslim Maleganwi
faqat do hichkiyoñ meñ ḳhatm qissa shām-e-ġham kā hai
charāġh-e-zindagī ab saath terā koī dam kā hai
asar ye ābla-pāyān-e-ulfat ke qadam kā hai
jahāñ ke goshe goshe par gumāñ bāġh-e-iram kā hai
chalī jaatī hai duniyā kārvāñ-dar-kārvāñ ho kar
ilāhī kyā ilāqa mulk-e-hastī se adam kā hai
ye ka.abe meñ kahāñ le aa.e mere ham-safar mujh ko
dil-e-vahshī to shaidā lailā-e-zulf-e-sanam kā hai
Thahar be-sabr dil vo be-takalluf hote jaate haiñ
ye chilman koī saa.at kī ye parda koī dam kā hai
vo lutf-e-bandagī-o-shān-e-āqā.ī ko kyā jaane
dil-e-vā.iz to shaidā.ī faqat bāġh-e-iram kā hai
abas jam.iyyat-e-dil kī tamanna hai yahāñ 'muslim'
ye duniyā ek afsāna ġham-o-dard-o-alam kā hai
faqat do hichkiyon mein KHatm qissa sham-e-gham ka hai
charagh-e-zindagi ab sath tera koi dam ka hai
asar ye aabla-payan-e-ulfat ke qadam ka hai
jahan ke goshe goshe par guman bagh-e-iram ka hai
chali jati hai duniya karwan-dar-karwan ho kar
ilahi kya ilaqa mulk-e-hasti se adam ka hai
ye kabe mein kahan le aae mere ham-safar mujh ko
dil-e-wahshi to shaida laila-e-zulf-e-sanam ka hai
Thahar be-sabr dil wo be-takalluf hote jate hain
ye chilman koi saat ki ye parda koi dam ka hai
wo lutf-e-bandagi-o-shan-e-aqai ko kya jaane
dil-e-waiz to shaidai faqat bagh-e-iram ka hai
abas jamiyyat-e-dil ki tamanna hai yahan 'muslim'
ye duniya ek afsana gham-o-dard-o-alam ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.