faqat hamin ko nahin be-qarar karte hain
faqat hamīñ ko nahīñ be-qarār karte haiñ
vo ḳhud bhī jāgte haiñ intizār karte haiñ
kahīñ jo 'ishq meñ miTne kī baat chaltī hai
hamārā zikr bhī vo baar baar karte haiñ
kisī kā husn nigāhoñ meñ ab nahīñ jachtā
qasam ḳhudā kī faqat tum se pyaar karte haiñ
unheñ na tiir na talvār kī zarūrat hai
vo dil pe apnī nigāhoñ se vaar karte haiñ
har ek baat se zāhir hai bevafā ho magar
har ek baat kā ham e'tibār karte haiñ
tamām din tire milne kī aas rahtī hai
tamām raat tirā intizār karte haiñ
sunā hai yaad satātī hai jin kī 'soz' hameñ
vo yaad karte haiñ aur baar baar karte haiñ
faqat hamin ko nahin be-qarar karte hain
wo KHud bhi jagte hain intizar karte hain
kahin jo 'ishq mein miTne ki baat chalti hai
hamara zikr bhi wo bar bar karte hain
kisi ka husn nigahon mein ab nahin jachta
qasam KHuda ki faqat tum se pyar karte hain
unhen na tir na talwar ki zarurat hai
wo dil pe apni nigahon se war karte hain
har ek baat se zahir hai bewafa ho magar
har ek baat ka hum e'tibar karte hain
tamam din tere milne ki aas rahti hai
tamam raat tera intizar karte hain
suna hai yaad satati hai jin ki 'soz' hamein
wo yaad karte hain aur bar bar karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.