faqat ek lafz hun tanha agar tafsil ho jaun sanwar jaun
faqat ek lafz hun tanha agar tafsil ho jaun sanwar jaun
Shahnawaz Ansari
MORE BYShahnawaz Ansari
faqat ik lafz huuñ tanhā agar tafsīl ho jā.ūñ sañvar jā.ūñ
abhī to ḳhaak huuñ maiñ ḳhaak meñ tahlīl ho jā.ūñ sañvar jā.ūñ
abhī tak shaḳhsiyat ek nā-mukammal ḳhvāb jaisī hai adhūrī hai
kisī din mo.ajiza ho aap hī takmīl ho jā.ūñ sañvar jā.ūñ
mujhe shab ke añdheroñ meñ abhī kitnā jhulasnā hai samajhnā hai
magar jalte hue yūñhī kabhī qindīl ho jā.ūñ sañvar jā.ūñ
bhaTaktā huuñ tire dīdār kī ḳhvāhish liye aksar kināroñ par
tamannā hai tirī āñkhoñ kī gahrī jhiil ho jā.ūñ sañvar jā.ūñ
maiñ sañg-e-mīl ke lahje meñ sab se baat kartā huuñ so rasta huuñ
agarche manziloñ kī shakl meñ tabdīl ho jā.ūñ sañvar jā.ūñ
shajar āñkhoñ se ojhal nā kisī dīvār kā saaya nazar aayā
ḳhudārā ab kisī bādal kī hī tamsīl ho jā.ūñ sañvar jā.ūñ
faqat ek lafz hun tanha agar tafsil ho jaun sanwar jaun
abhi to KHak hun main KHak mein tahlil ho jaun sanwar jaun
abhi tak shaKHsiyat ek na-mukammal KHwab jaisi hai adhuri hai
kisi din moajiza ho aap hi takmil ho jaun sanwar jaun
mujhe shab ke andheron mein abhi kitna jhulasna hai samajhna hai
magar jalte hue yunhi kabhi qindil ho jaun sanwar jaun
bhaTakta hun tere didar ki KHwahish liye aksar kinaron par
tamanna hai teri aankhon ki gahri jhil ho jaun sanwar jaun
main sang-e-mil ke lahje mein sab se baat karta hun so rasta hun
agarche manzilon ki shakl mein tabdil ho jaun sanwar jaun
shajar aankhon se ojhal na kisi diwar ka saya nazar aaya
KHudara ab kisi baadal ki hi tamsil ho jaun sanwar jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.