Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

faqat jast bharne talak masala hai

Ali Tasif

faqat jast bharne talak masala hai

Ali Tasif

MORE BYAli Tasif

    faqat jast bharne talak mas.ala hai

    kahāñ phir ye nān-o-namak mas.ala hai

    paḌī hogī gudḌī ke nīche duniyā

    uThā le uThā ke khisak mas.ala hai

    ye shams-o-qamar haiñ furū’ī masā.il

    miyāñ aadmī gunjlak mas.ala hai

    pas-e-‘ishq-e-lailā chhupā kyoñ hai majnūñ

    ye apne liye aaj tak mas.ala hai

    yūñhī sub.h tak sab ko jalnā paḌegā

    charāġho havā mushtarak mas.ala hai

    na sābit ho jab tak aTal rah gumāñ par

    dikhānā ziyāda lachak mas.ala hai

    uThāne lagā thā qadam intihā.ī

    khulā is tarah yak-ba-yak mas.ala hai

    nikal to paḌā huuñ dubāra maiñ ḳhud se

    magar yaar merī jhijhak mas.ala hai

    yahī zahr amrit banegā kisī roz

    piyāla bharā hai gaTak mas.ala hai

    faqat jast bharne talak masala hai

    kahan phir ye nan-o-namak masala hai

    paDi hogi gudDi ke niche hi duniya

    uTha le uTha ke khisak masala hai

    ye shams-o-qamar hain furu’i masail

    miyan aadmi gunjlak masala hai

    pas-e-‘ishq-e-laila chhupa kyon hai majnun

    ye apne liye aaj tak masala hai

    yunhi subh tak sab ko jalna paDega

    charagho hawa mushtarak masala hai

    na sabit ho jab tak aTal rah guman par

    dikhana ziyaada lachak masala hai

    uThane laga tha qadam intihai

    khula is tarah yak-ba-yak masala hai

    nikal to paDa hun dubara main KHud se

    magar yar meri jhijhak masala hai

    yahi zahr amrit banega kisi roz

    piyala bhara hai gaTak masala hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now