faqat jazbaat ko halchal na dena
faqat jazbāt ko halchal na denā
ḳhushī denā to pal-do-pal na denā
hamārā aaj hī ujlā banā do
chalo ham ko sunahrā kal na denā
buzurgoñ kī ye tasvīreñ haiñ bachcho
siyāhī un pe koī mal na denā
yūñhī bahtā rahūñ kalkal hamesha
maiñ jharnā huuñ mujhe jal-thal na denā
ise sonā paḌegā pattharoñ par
mire ehsās ko maḳhmal na denā
mire ahbāb ko denā sabhī kuchh
mujhe chāhe sukūñ ik pal na denā
duā merī ḳhudā se hai 'rishī' ye
amal denā mujhe go phal na denā
faqat jazbaat ko halchal na dena
KHushi dena to pal-do-pal na dena
hamara aaj hi ujla bana do
chalo hum ko sunahra kal na dena
buzurgon ki ye taswiren hain bachcho
siyahi un pe koi mal na dena
yunhi bahta rahun kalkal hamesha
main jharna hun mujhe jal-thal na dena
ise sona paDega pattharon par
mere ehsas ko maKHmal na dena
mere ahbab ko dena sabhi kuchh
mujhe chahe sukun ek pal na dena
dua meri KHuda se hai 'rishi' ye
amal dena mujhe go phal na dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.