faqat KHudi se jise pyar hai agar hai bhi
faqat ḳhudī se jise pyaar hai agar hai bhī
hameñ usī se sarokār hai agar hai bhī
vo be-misāl jo takmīl kar sake merī
jahān ḳhvāb ke us paar hai agar hai bhī
bhare jahāñ meñ sitāroñ meñ sab zamānoñ meñ
bas ek tū mirā me.aar hai agar hai bhī
ab aur beach meñ haa.il nahīñ hai koī hijāb
bas ek parda-e-pindār hai agar hai bhī
hamāre sher se mat muñh phirā ki apne paas
yahī salīqa-e-iz.hār hai agar hai bhī
janāb-e-shāh taġhāful to kyā dil-e-bekas
isī sazā kā sazā-vār hai agar hai bhī
faqat KHudi se jise pyar hai agar hai bhi
hamein usi se sarokar hai agar hai bhi
wo be-misal jo takmil kar sake meri
jahan KHwab ke us par hai agar hai bhi
bhare jahan mein sitaron mein sab zamanon mein
bas ek tu mera mear hai agar hai bhi
ab aur beach mein hail nahin hai koi hijab
bas ek parda-e-pindar hai agar hai bhi
hamare sher se mat munh phira ki apne pas
yahi saliqa-e-izhaar hai agar hai bhi
janab-e-shah taghaful to kya dil-e-bekas
isi saza ka saza-war hai agar hai bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.