faqat lafz-o-bayan se bhi kahin banti hain taqdiren
faqat lafz-o-bayan se bhi kahin banti hain taqdiren
Nayyar Qureshi Gangohi
MORE BYNayyar Qureshi Gangohi
faqat lafz-o-bayāñ se bhī kahīñ bantī haiñ taqdīreñ
agar ho jazba-e-kāmil to ḳhud TūTeñgī zanjīreñ
huā rusvā-e-ālam vo jo uThThā bazm-e-jānāñ se
ki zulf-e-dost ke saa.e meñ poshīda haiñ tauqīreñ
javāñ hoñ valvale jin ke azā.em jin ke mohkam hoñ
vo qaumeñ toḌtī haiñ apnī mahkūmī kī zanjīreñ
nizām-e-maikada barham huā jaatā hai kyoñ saaqī
huī jaatī haiñ kyoñ nākām bahbūdī kī tadbīreñ
kahāñ mahfil meñ mujh ko lab hilāne kī ijāzat hai
lagā dī hai mirī guftār par zālim ne ta.azīreñ
sharāfat ke pas-e-parda jahāñ qatl-e-sharāfat ho
vahāñ rahtī nahīñ aslāf kī anmol jāgīreñ
ba-zor-e-quvvat-e-bāzū ba-faiz-e-jazba-e-kāmil
badal dete haiñ 'nayyar' ahl-e-himmat apnī taqdīreñ
faqat lafz-o-bayan se bhi kahin banti hain taqdiren
agar ho jazba-e-kaamil to KHud TuTengi zanjiren
hua ruswa-e-alam wo jo uThTha bazm-e-jaanan se
ki zulf-e-dost ke sae mein poshida hain tauqiren
jawan hon walwale jin ke azaem jin ke mohkam hon
wo qaumen toDti hain apni mahkumi ki zanjiren
nizam-e-maikada barham hua jata hai kyon saqi
hui jati hain kyon nakaam bahbudi ki tadbiren
kahan mahfil mein mujh ko lab hilane ki ijazat hai
laga di hai meri guftar par zalim ne taziren
sharafat ke pas-e-parda jahan qatl-e-sharafat ho
wahan rahti nahin aslaf ki anmol jagiren
ba-zor-e-quwwat-e-bazu ba-faiz-e-jazba-e-kaamil
badal dete hain 'nayyar' ahl-e-himmat apni taqdiren
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.