faqat lafzi dalilon se koi qail nahin hota
faqat lafzī dalīloñ se koī qaa.il nahīñ hotā
kitābī zindagī jiine se kuchh hāsil nahīñ hotā
baḌā dushvār ho jaatā tamīz-e-nek-o-bad karnā
agar haq ke muqābil meñ koī bātil nahīñ hotā
agar taqsīm hotī rizq kī diinī usūloñ par
to phir duniyā meñ koī shaḳhs bhī saa.il nahīñ hotā
sadāqat maut kī dahlīz par elaan kartī hai
mirā jazba kisī hathiyār se ghāyal nahīñ hotā
zamāna dekhtā rahtā hai hoñToñ ke tabassum ko
magar TuuTe hue dil kī taraf maa.il nahīñ hotā
ye but hālāt hī insān ko behis banāte haiñ
vagarna pattharoñ jaisā kisī kā dil nahīñ hotā
jise dekho vo ġhurbat ke kafan meñ saañs letā hai
hamāre shahr meñ ab koī bhī qātil nahīñ hotā
yahāñ hai tairte rahnā baqā-e-zindagī 'sarvat'
zarūrat ke samundar kā koī sāhil nahīñ hotā
faqat lafzi dalilon se koi qail nahin hota
kitabi zindagi jine se kuchh hasil nahin hota
baDa dushwar ho jata tamiz-e-nek-o-bad karna
agar haq ke muqabil mein koi baatil nahin hota
agar taqsim hoti rizq ki dini usulon par
to phir duniya mein koi shaKHs bhi sail nahin hota
sadaqat maut ki dahliz par elan karti hai
mera jazba kisi hathiyar se ghayal nahin hota
zamana dekhta rahta hai honTon ke tabassum ko
magar TuTe hue dil ki taraf mail nahin hota
ye but haalat hi insan ko behis banate hain
wagarna pattharon jaisa kisi ka dil nahin hota
jise dekho wo ghurbat ke kafan mein sans leta hai
hamare shahr mein ab koi bhi qatil nahin hota
yahan hai tairte rahna baqa-e-zindagi 'sarwat'
zarurat ke samundar ka koi sahil nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.