faqat main kyon rahun ruswa teri ruswai bhi to ho
faqat maiñ kyoñ rahūñ rusvā tirī rusvā.ī bhī to ho
sitamgar terī mahfil meñ shab-e-tanhā.ī bhī to ho
tujhe paane kī ḳhvāhish meñ jo rakh de jaan bhī girvī
zamāne meñ mire jaisā koī saudā.ī bhī to ho
maiñ tum ko bevafā kahtā huuñ to is meñ burā kyā hai
ye maanā maiñ ki tum apne ho magar harjā.ī bhī to ho
maiñ kaise Duub saktā huuñ vafā ke ḳhushk dariyā meñ
tire dariyā-e-ulfat meñ koī gahrā.ī bhī to ho
shab-e-furqat kā har lamha sitāre gin ke kaaTā hai
bichhaḌ ke tujh se ik pal ko hameñ niiñd aa.ī bhī to ho
maiñ kaise maan luuñ tū hijr meñ rahtā hai nam-dīda
tirī āvāz merī tarah se bharrā.ī bhī to ho
masarrat ke tarāne kyā sunā.eñ sāz-e-ġham par ham
ḳhushī ke giit gaane ke liye shahnā.ī bhī to ho
'hilāl' apne muqaddar meñ nahīñ thā vasl-e-jānāna
duā ham ne bahut kī thī magar bar aa.ī bhī to ho
faqat main kyon rahun ruswa teri ruswai bhi to ho
sitamgar teri mahfil mein shab-e-tanhai bhi to ho
tujhe pane ki KHwahish mein jo rakh de jaan bhi girwi
zamane mein mere jaisa koi saudai bhi to ho
main tum ko bewafa kahta hun to is mein bura kya hai
ye mana main ki tum apne ho magar harjai bhi to ho
main kaise Dub sakta hun wafa ke KHushk dariya mein
tere dariya-e-ulfat mein koi gahrai bhi to ho
shab-e-furqat ka har lamha sitare gin ke kaTa hai
bichhaD ke tujh se ek pal ko hamein nind aai bhi to ho
main kaise man lun tu hijr mein rahta hai nam-dida
teri aawaz meri tarah se bharrai bhi to ho
masarrat ke tarane kya sunaen saz-e-gham par hum
KHushi ke git gane ke liye shahnai bhi to ho
'hilal' apne muqaddar mein nahin tha wasl-e-jaanana
dua hum ne bahut ki thi magar bar aai bhi to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.