faqat ye wasta hai zindagi se
faqat ye vāsta hai zindagī se
tumhārī baat karte haiñ kisī se
añdherā hī añdherā hai falak par
judā hai chāñd apnī chāñdnī se
mirā apnā nahīñ koī magar maiñ
muḳhātib ho rahā huuñ har kisī se
payāde shor barpā.e hue haiñ
masīhā sun rahā hai ḳhāmushī se
vo mere paas aatī jā rahī hai
magar matlab hai merī shā'irī se
ġhamoñ kī chādareñ sab pheñk bhī duuñ
agar kuchh farq paḌtā ho ḳhushī se
kuaañ hai pyaas hai paanī nahīñ hai
musāfir mar rahā hai bebasī se
ta'alluq thā na koī dushmanī thī
amaañ maare ga.e ham dil-lagī se
ye gahre zaḳhm de kar ke na jaa.e
zarā sā bach ke chaliye sādgī se
mohabbat dhaar hai chaḌhtī nadī kī
ye sāhil bolte kab haiñ nadī se
faqat ye wasta hai zindagi se
tumhaari baat karte hain kisi se
andhera hi andhera hai falak par
juda hai chand apni chandni se
mera apna nahin koi magar main
muKHatib ho raha hun har kisi se
payaade shor barpae hue hain
masiha sun raha hai KHamushi se
wo mere pas aati ja rahi hai
magar matlab hai meri sha'iri se
ghamon ki chadaren sab phenk bhi dun
agar kuchh farq paDta ho KHushi se
kuan hai pyas hai pani nahin hai
musafir mar raha hai bebasi se
ta'alluq tha na koi dushmani thi
aman mare gae hum dil-lagi se
ye gahre zaKHm de kar ke na jae
zara sa bach ke chaliye sadgi se
mohabbat dhaar hai chaDhti nadi ki
ye sahil bolte kab hain nadi se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.