faqat yunhi to nahin naz-afrin hai wo
faqat yūñhī to nahīñ nāz-āfrīñ hai vo
mirī nigāh se dekho bahut hasīñ hai vo
hai misl-e-uqda mirī zaat se vo paivasta
jahāñ-jahāñ maiñ nahīñ huuñ vahīñ vahīñ hai vo
tum us ke rang-e-ruḳh-o-lab kī baat karte ho
ḳhud apnī ātish-e-tevar se ātishīñ hai vo
kabhī na sard huā merī zaat kā dozaḳh
kisī ne sach hī kahā hai jahannamīñ hai vo
hai is asar se hī ḳhūñ-rez chashm-e-nāz us kī
ki muddatoñ se ragoñ meñ panah-guzīñ hai vo
vo kaise ā.ina-e-inhimāk meñ aa.e
ki lamha bhar ko bhī mujh se judā nahīñ hai vo
jab us ko dekh ke aatā hai yaad rab mujh ko
to kyoñ kahūñ ki harīf-e-ḳhudā-o-dīñ hai vo
vo jis tarah nazar-andāz kar rahā hai mujhe
to lag rahā hai ki ġhāfil zarā nahīñ hai vo
miTā chukā huuñ sabhī naqsh us ke qadmoñ ke
magar ye vahm hai ab bhī yahīñ kahīñ hai vo
faqat yunhi to nahin naz-afrin hai wo
meri nigah se dekho bahut hasin hai wo
hai misl-e-uqda meri zat se wo paiwasta
jahan-jahan main nahin hun wahin wahin hai wo
tum us ke rang-e-ruKH-o-lab ki baat karte ho
KHud apni aatish-e-tewar se aatishin hai wo
kabhi na sard hua meri zat ka dozaKH
kisi ne sach hi kaha hai jahannamin hai wo
hai is asar se hi KHun-rez chashm-e-naz us ki
ki muddaton se ragon mein panah-guzin hai wo
wo kaise aaina-e-inhimak mein aae
ki lamha bhar ko bhi mujh se juda nahin hai wo
jab us ko dekh ke aata hai yaad rab mujh ko
to kyon kahun ki harif-e-KHuda-o-din hai wo
wo jis tarah nazar-andaz kar raha hai mujhe
to lag raha hai ki ghafil zara nahin hai wo
miTa chuka hun sabhi naqsh us ke qadmon ke
magar ye wahm hai ab bhi yahin kahin hai wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.