faqir hun main mera kaam hai sada dena
faqīr huuñ maiñ mirā kaam hai sadā denā
mirā shi.ār hai qātil ko bhī duā denā
ġham-e-firāq meñ jiinā bhī ik qayāmat hai
mire ḳhudā mujhe jiine kā hausla denā
salīb-o-dār ho sahrā ho yā ki maqtal ho
jahāñ ho merī zarūrat mujhe sadā denā
vafā-shi.ār agar ho koī to mujrim hai
vafā-sarisht meñ kyoñ hoñ mujhe sazā denā
kahāñ maiñ gum huuñ kahīñ mujh ko DhūñD lo yaaro
agar milūñ to mujhe bhī mirā pata denā
anā bahut hai maiñ sarkash bhī huuñ bahut lekin
ḳhudā ke naam pe aatā hai sar jhukā denā
tamām umr guzārī hai ishq meñ jis ke
'payām' sahl nahīñ hai use bhulā denā
faqir hun main mera kaam hai sada dena
mera shiar hai qatil ko bhi dua dena
gham-e-firaq mein jina bhi ek qayamat hai
mere KHuda mujhe jine ka hausla dena
salib-o-dar ho sahra ho ya ki maqtal ho
jahan ho meri zarurat mujhe sada dena
wafa-shiar agar ho koi to mujrim hai
wafa-sarisht mein kyon hon mujhe saza dena
kahan main gum hun kahin mujh ko DhunD lo yaro
agar milun to mujhe bhi mera pata dena
ana bahut hai main sarkash bhi hun bahut lekin
KHuda ke nam pe aata hai sar jhuka dena
tamam umr guzari hai ishq mein jis ke
'payam' sahl nahin hai use bhula dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.