faqiri mein bhi rah kar hukmarani chhoD jaenge
faqīrī meñ bhī rah kar hukmarānī chhoḌ jā.eñge
jahāñ meñ ham nizām-e-āsmānī chhoḌ jā.eñge
bahā kar aañkh se aañsū tumhārī yaad meñ jānāñ
jahāñ meñ ik samundar sī ravānī chhoḌ jā.eñge
judā ho kar bhī tujh se ham nahīñ hoñge judā hamdam
hamārī yādoñ kā āñkhoñ meñ paanī chhoḌ jā.eñge
yahāñ ishq-e-haqīqī meñ miTā kar apnī hastī ko
mohabbat kī jahāñ meñ ik kahānī chhoḌ jā.eñge
jiyeñge garche ham 'hādī' yahāñ be-haisiyat ban kar
magar har zarre par apnī nishānī chhoḌ jā.eñge
faqiri mein bhi rah kar hukmarani chhoD jaenge
jahan mein hum nizam-e-asmani chhoD jaenge
baha kar aankh se aansu tumhaari yaad mein jaanan
jahan mein ek samundar si rawani chhoD jaenge
juda ho kar bhi tujh se hum nahin honge juda hamdam
hamari yaadon ka aankhon mein pani chhoD jaenge
yahan ishq-e-haqiqi mein miTa kar apni hasti ko
mohabbat ki jahan mein ek kahani chhoD jaenge
jiyenge garche hum 'hadi' yahan be-haisiyat ban kar
magar har zarre par apni nishani chhoD jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.