fareb de ke nazaron ne sath chhoD diya
fareb de ke nazāroñ ne saath chhoḌ diyā
mire junūñ kā bahāroñ ne saath chhoḌ diyā
tumhīñ ko ab dil-e-muztar kī laaj rakhnā hai
chale bhī aao sitāroñ ne saath chhoḌ diyā
nasīb vāloñ ko duniyā meñ kaun pūchhegā
agar nasīb ke māroñ ne saath chhoḌ diyā
kahīñ to maiñ ne sahāroñ pe maar dī Thokar
kahīñ pe merā sahāroñ ne saath chhoḌ diyā
gila nahīñ hai talātum kī bad-sulūkī kā
mirā hamesha kināroñ ne saath chhoḌ diyā
abhī to gardish-e-daurāñ bhī duur thī mujh se
zarā sī baat pe yāroñ ne saath chhoḌ diyā
tumhāre dam se thā vābasta-e-chaman 'anjum'
tumhāre baad bahāroñ ne saath chhoḌ diyā
fareb de ke nazaron ne sath chhoD diya
mere junun ka bahaaron ne sath chhoD diya
tumhin ko ab dil-e-muztar ki laj rakhna hai
chale bhi aao sitaron ne sath chhoD diya
nasib walon ko duniya mein kaun puchhega
agar nasib ke maron ne sath chhoD diya
kahin to main ne sahaaron pe mar di Thokar
kahin pe mera sahaaron ne sath chhoD diya
gila nahin hai talatum ki bad-suluki ka
mera hamesha kinaron ne sath chhoD diya
abhi to gardish-e-dauran bhi dur thi mujh se
zara si baat pe yaron ne sath chhoD diya
tumhaare dam se tha wabasta-e-chaman 'anjum'
tumhaare baad bahaaron ne sath chhoD diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.