fareb dete hain koi bura nahin karte
fareb dete haiñ koī burā nahīñ karte
husūl-e-zar ke liye log kyā nahīñ karte
adam vajūd barābar hai in nikammoñ kā
jo āgahī ke farā.ez adā nahīñ karte
burā.iyoñ kī to ham log khoj karte haiñ
bhalā.iyoñ kā magar tazkira nahīñ karte
ye maulvī haiñ inheñ bhī lagā.iye nashtar
jo qaul karte haiñ va.ada vafā nahīñ karte
'ziyā' hamārā ye maslak hai yāva-goī se
kabhī zabān ko ham bad-maza nahīñ karte
fareb dete hain koi bura nahin karte
husul-e-zar ke liye log kya nahin karte
adam wajud barabar hai in nikammon ka
jo aagahi ke faraez ada nahin karte
buraiyon ki to hum log khoj karte hain
bhalaiyon ka magar tazkira nahin karte
ye maulwi hain inhen bhi lagaiye nashtar
jo qaul karte hain wada wafa nahin karte
'ziya' hamara ye maslak hai yawa-goi se
kabhi zaban ko hum bad-maza nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.