fareb duniya mein kya kya dikhai deta hai
fareb duniyā meñ kyā kyā dikhā.ī detā hai
sarāb duur se dariyā dikhā.ī detā hai
kahāñ se lā.ūñ maiñ kirdār is kahānī meñ
jab ek shaḳhs hī duniyā dikhā.ī detā hai
maiñ apnī āñkhoñ pe jab ḳhvāb oḌh letā huuñ
tumhārā chāñd sā chehra dikhā.ī detā hai
maiñ terā dard samajhtā huuñ tū bhī merī tarah
hamesha mujh ko akelā dikhā.ī detā hai
nigāh-e-shauq tahayyur ke chaak par rakh kar
har ik badan mujhe kuuza dikhā.ī detā hai
jo ḳhvāb niiñd meñ tā'mīr hotā rahtā hai
vo aañkh khulne pe malba dikhā.ī detā hai
jab intishār-ḳhayālī meñ aa.ina dekhūñ
to apnā 'aks bhī dhuñdlā dikhā.ī detā hai
fareb duniya mein kya kya dikhai deta hai
sarab dur se dariya dikhai deta hai
kahan se laun main kirdar is kahani mein
jab ek shaKHs hi duniya dikhai deta hai
main apni aankhon pe jab KHwab oDh leta hun
tumhaara chand sa chehra dikhai deta hai
main tera dard samajhta hun tu bhi meri tarah
hamesha mujh ko akela dikhai deta hai
nigah-e-shauq tahayyur ke chaak par rakh kar
har ek badan mujhe kuza dikhai deta hai
jo KHwab nind mein ta'mir hota rahta hai
wo aankh khulne pe malba dikhai deta hai
jab intishaar-KHayali mein aaina dekhun
to apna 'aks bhi dhundla dikhai deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.