fareb-e-hijr mein lamhe sabhi visal ke hain
fareb-e-hijr meñ lamhe sabhī visāl ke haiñ
ga.e dinoñ kī mohabbat ye din malāl ke haiñ
ga.ī rutoñ ke fasāne abhī nahīñ bhūle
ye jitne ḳhvāb haiñ āñkhoñ meñ guzre saal ke haiñ
ye apnā zarf hai ḳhāmosh ho ga.e ham log
bahut javāb agarche tire savāl ke haiñ
agarche vaj.h-e-aziyyat haiñ ab to yādeñ bhī
magar ye saare fasāne usī jamāl ke haiñ
ye dhuup chhāñv ke manzar 'ḳhayāl' dekh zarā
ye saare 'aks usī zāt-e-bā-kamāl ke haiñ
fareb-e-hijr mein lamhe sabhi visal ke hain
gae dinon ki mohabbat ye din malal ke hain
gai ruton ke fasane abhi nahin bhule
ye jitne KHwab hain aankhon mein guzre sal ke hain
ye apna zarf hai KHamosh ho gae hum log
bahut jawab agarche tere sawal ke hain
agarche wajh-e-aziyyat hain ab to yaaden bhi
magar ye sare fasane usi jamal ke hain
ye dhup chhanw ke manzar 'KHayal' dekh zara
ye sare 'aks usi zat-e-ba-kamal ke hain
- Book : aks-e-khvaab (Pg. 29)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.