fareb-e-husn tera eatibar kar lenge
fareb-e-husn tirā e.atibār kar leñge
isī tarah se ḳhizāñ ko bahār kar leñge
hamārā saath agar de ga.ī hayāt ai dost
to hashr tak bhī tirā intizār kar leñge
ham ajnabī kī tarah terī bazm meñ baiTheñ
ye jabr hogā magar iḳhtiyār kar leñge
karam kī bhiik na māñgeñge ham zamāne se
hayāt sarf-e-ġham-e-rozgār kar leñge
guloñ se baḌh ke hasīñ hoñge raah meñ kāñTe
hamāre paañv ke chhāle jo pyaar kar leñge
vo ham-safar haiñ agar ye gumāñ bhī ho jaa.e
rah-e-hayāt ko ham ḳhush-gavār kar leñge
abhī to apne hī dāman se 'shauq' uljhe haiñ
kabhī tasavvur-e-dāmān-e-yār kar leñge
fareb-e-husn tera eatibar kar lenge
isi tarah se KHizan ko bahaar kar lenge
hamara sath agar de gai hayat ai dost
to hashr tak bhi tera intizar kar lenge
hum ajnabi ki tarah teri bazm mein baiThen
ye jabr hoga magar iKHtiyar kar lenge
karam ki bhik na mangenge hum zamane se
hayat sarf-e-gham-e-rozgar kar lenge
gulon se baDh ke hasin honge rah mein kanTe
hamare panw ke chhaale jo pyar kar lenge
wo ham-safar hain agar ye guman bhi ho jae
rah-e-hayat ko hum KHush-gawar kar lenge
abhi to apne hi daman se 'shauq' uljhe hain
kabhi tasawwur-e-daman-e-yar kar lenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.