fareb-e-manzar ke istiaron se dil jo apna laga rahe hain
fareb-e-manzar ke istiaron se dil jo apna laga rahe hain
Fatima Husaini Makhfi
MORE BYFatima Husaini Makhfi
fareb-e-manzar ke isti'āroñ se dil jo apnā lagā rahe haiñ
vahī dhaḌakte hue diloñ se nigāh apnī churā rahe haiñ
'ajīb sī kashmakash hai logo zamīr ālūda-e-zamāñ hai
sharī'at-e-'ishq ke musāfir yahāñ-vahāñ sar jhukā rahe haiñ
'ajab mizāj-e-karam hai un kā guloñ se apnī nazar ko phere
nayā hai andāz-e-bāġhbānī ki ḳhaar ko gul banā rahe haiñ
ġhubār-e-dil jo uḌā huā hai kahīñ vo dāman meñ aa na jaa.e
baḌī adā se baḌe hunar se vo apnā dāman bachā rahe haiñ
guloñ se shādāb zaḳhm-e-dil kā fasāna kaise sunā.e koī
har ek shāḳh-e-chaman pe taa.ir tarāne ḳhushiyoñ ke gā rahe haiñ
kahāñ vo sailāb vo samundar kahāñ ye ātish-fishāñ sā manzar
har ek tuġhyānī-e-karam ko javāz-e-dil ham banā rahe haiñ
fasāne dil ke haiñ ḳhatm saare ki bazm-e-ulfat simaT chukī hai
bas ek ham haiñ ki chashm-e-girya lahū se apne bahā rahe haiñ
ki dard-e-man shud sukūn-e-murshid sunā thā ham ne kisī zabāñ meñ
nuqūsh chehre ke apne 'maḳhfī' vahī hikāyat sunā rahe haiñ
fareb-e-manzar ke isti'aron se dil jo apna laga rahe hain
wahi dhaDakte hue dilon se nigah apni chura rahe hain
'ajib si kashmakash hai logo zamir aaluda-e-zaman hai
shari'at-e-'ishq ke musafir yahan-wahan sar jhuka rahe hain
'ajab mizaj-e-karam hai un ka gulon se apni nazar ko phere
naya hai andaz-e-baghbani ki KHar ko gul bana rahe hain
ghubar-e-dil jo uDa hua hai kahin wo daman mein aa na jae
baDi ada se baDe hunar se wo apna daman bacha rahe hain
gulon se shadab zaKHm-e-dil ka fasana kaise sunae koi
har ek shaKH-e-chaman pe tair tarane KHushiyon ke ga rahe hain
kahan wo sailab wo samundar kahan ye aatish-fishan sa manzar
har ek tughyani-e-karam ko jawaz-e-dil hum bana rahe hain
fasane dil ke hain KHatm sare ki bazm-e-ulfat simaT chuki hai
bas ek hum hain ki chashm-e-girya lahu se apne baha rahe hain
ki dard-e-man shud sukun-e-murshid suna tha hum ne kisi zaban mein
nuqush chehre ke apne 'maKHfi' wahi hikayat suna rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.