Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fareb-e-nau ke bhanwar mein utarta hai mujhe

Mahendra Partap Chand

fareb-e-nau ke bhanwar mein utarta hai mujhe

Mahendra Partap Chand

MORE BYMahendra Partap Chand

    fareb-e-nau ke bhañvar meñ utārtā hai mujhe

    ye kaun pichhle pahar phir pukārtā hai mujhe

    shikasta-hāl huuñ ranj-o-alam se chuur huuñ maiñ

    nigāh-e-lutf se ab kyā sañvārtā hai mujhe

    nazar ye apnī chaḌhātā huuñ jis qadar us ko

    usī qadar vo nazar se utārtā hai mujhe

    maiñ kab Duub chukā huuñ use ḳhabar nahīñ

    jo sāhiloñ se abhī tak pukārtā hai mujhe

    usī yaad hai merī hayāt hāsil

    jo be-niyāz taġhāful se mārtā hai mujhe

    maiñ sulh-o-amn shaidā.ī huuñ mire rahbar

    fasād-o-fitna pe kyuuñ ubhārtā hai mujhe

    milā hai muddatoñ ke baa'd kuchh ġharaz hogī

    kis inkisār se dekho nihārtā hai mujhe

    use maiñ ḳhaas karam meñ shumār kartā huuñ

    jo marāhil-e-ġham se guzārtā hai mujhe

    vo chāhtā hai guhar-yāb ho ke ubhrūñ maiñ

    samundaroñ jo tah tak utārtā hai mujhe

    punam raat ye faiz nūr-afshāñ 'chāñd'

    kisī hasīn ḳhatā par ubhārtā hai mujhe

    fareb-e-nau ke bhanwar mein utarta hai mujhe

    ye kaun pichhle pahar phir pukarta hai mujhe

    shikasta-haal hun ranj-o-alam se chur hun main

    nigah-e-lutf se ab kya sanwarta hai mujhe

    nazar ye apni chaDhata hun jis qadar us ko

    usi qadar wo nazar se utarta hai mujhe

    main kab ka Dub chuka hun use KHabar hi nahin

    jo sahilon se abhi tak pukarta hai mujhe

    usi ki yaad hai meri hayat ka hasil

    jo be-niyaz taghaful se marta hai mujhe

    main sulh-o-amn ka shaidai hun mere rahbar

    fasad-o-fitna pe tu kyun ubhaarta hai mujhe

    mila hai muddaton ke ba'd kuchh gharaz hogi

    kis inkisar se dekho nihaarta hai mujhe

    use main KHas karam mein shumar karta hun

    jo tu marahil-e-gham se guzarta hai mujhe

    wo chahta hai guhar-yab ho ke ubhrun main

    samundaron ki jo tah tak utarta hai mujhe

    punam ki raat ka ye faiz nur-afshan 'chand'

    kisi hasin KHata par ubhaarta hai mujhe

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now