fareb-e-shauq mein aa kar sukun pa na saka
fareb-e-shauq meñ aa kar sukūn pā na sakā
vo choT khaa.ī ki jis ko kabhī bhulā na sakā
ye silsila rahe qaa.em jafā kī umr darāz
ki tere naaz koī bul-havas uThā na sakā
fareb-kār zamāne meñ hasratoñ kā charāġh
bujhāne vaale bahut the koī jalā na sakā
phañsā ga.ī mujhe uljhan meñ yuuñ adā-e-sukūt
ki apnī tishnagī-e-shauq bhī bujhā na sakā
mujhe to is kā hai ronā ki ro nahīñ saktā
shikāyat is kī nahīñ hai ki muskurā na sakā
nuqūsh-e-hastī-e-fānī bane miTe lekin
lakīreñ apne muqaddar kī maiñ miTā na sakā
'navāb' ḳhush hai isī par ki ho gayā terā
ye ġham nahīñ hai ki apnā tujhe banā na sakā
fareb-e-shauq mein aa kar sukun pa na saka
wo choT khai ki jis ko kabhi bhula na saka
ye silsila rahe qaem jafa ki umr daraaz
ki tere naz koi bul-hawas uTha na saka
fareb-kar zamane mein hasraton ka charagh
bujhane wale bahut the koi jala na saka
phansa gai mujhe uljhan mein yun ada-e-sukut
ki apni tishnagi-e-shauq bhi bujha na saka
mujhe to is ka hai rona ki ro nahin sakta
shikayat is ki nahin hai ki muskura na saka
nuqush-e-hasti-e-fani bane miTe lekin
lakiren apne muqaddar ki main miTa na saka
'nawab' KHush hai isi par ki ho gaya tera
ye gham nahin hai ki apna tujhe bana na saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.