fareb-e-shauq na de waqf-e-imtihan na bana
fareb-e-shauq na de waqf-e-imtihan na bana
Ustad Azmat Hussain Khan
MORE BYUstad Azmat Hussain Khan
fareb-e-shauq na de vaqf-e-imtihāñ na banā
mirī talab ko bas ab aur bhī girāñ na banā
'atā-e-dost hai ye jins-e-rā.egāñ na banā
tujhe jo dard milā hai use fuġhāñ na banā
banānā chāhe to ab bijliyoñ se de tartīb
chaman meñ ab kabhī tinkoñ kā āshiyāñ na banā
kabhī vo fā.ez-e-jalva hai aur kabhī mahrūm
mujhe ḳhud apne hī dil se tū bad-gumāñ na banā
sabhī ko ho gayā ab tere 'ishq kā dā'vā
kahā to thā ki mohabbat ko dāstāñ na banā
halāk-e-dard-e-mohabbat mujhī ko rahne de
nigāh-e-nāz ko ġhārat-gar-e-jahāñ na banā
rahā 'azāb meñ dil kā mu'āmla 'maikash'
rah-e-vafā meñ koī bhī tū rāz-dāñ na banā
fareb-e-shauq na de waqf-e-imtihan na bana
meri talab ko bas ab aur bhi giran na bana
'ata-e-dost hai ye jins-e-raegan na bana
tujhe jo dard mila hai use fughan na bana
banana chahe to ab bijliyon se de tartib
chaman mein ab kabhi tinkon ka aashiyan na bana
kabhi wo faez-e-jalwa hai aur kabhi mahrum
mujhe KHud apne hi dil se tu bad-guman na bana
sabhi ko ho gaya ab tere 'ishq ka da'wa
kaha to tha ki mohabbat ko dastan na bana
halak-e-dard-e-mohabbat mujhi ko rahne de
nigah-e-naz ko ghaarat-gar-e-jahan na bana
raha 'azab mein dil ka mu'amla 'maikash'
rah-e-wafa mein koi bhi tu raaz-dan na bana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.