fareb-e-waqt na kar KHud-sari ki baat na kar
fareb-e-vaqt na kar ḳhud-sarī kī baat na kar
tū ek lamha hai mujh se sadī kī baat na kar
musībat-o-ġham-o-iflās-o-zillat-o-fāqa
ye zindagī hai to phir zindagī kī baat na kar
amal ke daur meñ na.aroñ se khelnā hai gunāh
ye vaqt hosh kā hai be-hushī kī baat na kar
rah-e-haram hai purānī hai mai-kade kī galī
tū apnī raah le merī galī kī baat na kar
har ek ghūñT pe lete haiñ rind nām-e-ḳhudā
ye mai-kada hai yahāñ gumrahī kī baat na kar
abhī hai vaqt umar tauba kar gunāhoñ se
ḳhudā kā naam le bāda-kashī kī baat na kar
fareb-e-waqt na kar KHud-sari ki baat na kar
tu ek lamha hai mujh se sadi ki baat na kar
musibat-o-gham-o-iflas-o-zillat-o-faqa
ye zindagi hai to phir zindagi ki baat na kar
amal ke daur mein naron se khelna hai gunah
ye waqt hosh ka hai be-hushi ki baat na kar
rah-e-haram hai purani hai mai-kade ki gali
tu apni rah le meri gali ki baat na kar
har ek ghunT pe lete hain rind nam-e-KHuda
ye mai-kada hai yahan gumrahi ki baat na kar
abhi hai waqt umar tauba kar gunahon se
KHuda ka nam le baada-kashi ki baat na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.