fareb-e-yas kha jaen sitaro jagte rahna
fareb-e-yās khā jaa.eñ sitāro jāgte rahnā
jo ham dhoke meñ aa jaa.eñ sitāro jāgte rahnā
shab-e-va.ada shab-e-ġham kī tarah kuchh aur ruk jaao
vo mumkin hai ki aa jaa.eñ sitāro jāgte rahnā
kahīñ aisā na ho vo bhī na aa.eñ tum bhī so jaao
añdhere phir na chhā jaa.eñ sitāro jāgte rahnā
tumheñ to yaad hogā kis tarah ham jaagā karte the
vo shāyad tum se pā jaa.eñ sitāro jāgte rahnā
shab-e-āḳhir hai shāyad aaj ham ko niiñd aa jaa.e
agar ham Dagmagā jaa.eñ sitāro jāgte rahnā
kabhī to 'soz' yaad aa.egā un ko vo bhī jāgeñge
tumheñ itnā batā jaa.eñ sitāro jāgte rahnā
fareb-e-yas kha jaen sitaro jagte rahna
jo hum dhoke mein aa jaen sitaro jagte rahna
shab-e-wada shab-e-gham ki tarah kuchh aur ruk jao
wo mumkin hai ki aa jaen sitaro jagte rahna
kahin aisa na ho wo bhi na aaen tum bhi so jao
andhere phir na chha jaen sitaro jagte rahna
tumhein to yaad hoga kis tarah hum jaga karte the
wo shayad tum se pa jaen sitaro jagte rahna
shab-e-aKHir hai shayad aaj hum ko nind aa jae
agar hum Dagmaga jaen sitaro jagte rahna
kabhi to 'soz' yaad aaega un ko wo bhi jagenge
tumhein itna bata jaen sitaro jagte rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.