fareb-e-zau mein hamein kis ne la uchhaala hai
fareb-e-zau mein hamein kis ne la uchhaala hai
Mohammad Shahid Firoz
MORE BYMohammad Shahid Firoz
fareb-e-zau meñ hameñ kis ne lā uchhālā hai
sujhā.ī kuchh nahīñ detā kahāñ ujālā hai
vagarna kaun thā jo terī parvarish kartā
ḳhudā-e-fikr tujhe maiñ ne hī to paalā hai
tamāsha dekhtī āñkho salāmtī paao
tumhāre shauq se kartab mirā nirālā hai
maiñ apne karb ko sahlā rahā huuñ muddat se
ye merī raakh pe sar rakh ke sone vaalā hai
mire liye hai vahī merā hukm-e-kun 'shāhid'
hisār-e-vaqt se jo lamha bhī nikālā hai
fareb-e-zau mein hamein kis ne la uchhaala hai
sujhai kuchh nahin deta kahan ujala hai
wagarna kaun tha jo teri parwarish karta
KHuda-e-fikr tujhe main ne hi to pala hai
tamasha dekhti aankho salamti pao
tumhaare shauq se kartab mera nirala hai
main apne karb ko sahla raha hun muddat se
ye meri rakh pe sar rakh ke sone wala hai
mere liye hai wahi mera hukm-e-kun 'shahid'
hisar-e-waqt se jo lamha bhi nikala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.