fareb jhuT dagha hai hamari basti mein
fareb jhuuT daġhā hai hamārī bastī meñ
ye kaisā zahr ghulā hai hamārī bastī meñ
charāġh ban ke jo sab ke diloñ meñ raushan thā
usī kā ghar to jalā hai hamārī bastī meñ
maiñ kyā batā.ūñ miyāñ kaun ḳhairiyat se hai
sabhī kā haal burā hai hamārī bastī meñ
unheñ bharosa hai tīr-o-kamān par apne
hameñ yaqīñ hai ḳhudā hai hamārī bastī meñ
hazār dhūñDiye banda koī nahīñ miltā
har ek shaḳhs ḳhudā hai hamārī bastī meñ
har ek aañkh meñ aañsū har ek lab pe fuġhāñ
ye kaisī āb-o-havā hai hamārī bastī meñ
'vaqār' aaj talak bhī samajh na paa.e ham
ki kaun kis pe fidā hai hamārī bastī meñ
fareb jhuT dagha hai hamari basti mein
ye kaisa zahr ghula hai hamari basti mein
charagh ban ke jo sab ke dilon mein raushan tha
usi ka ghar to jala hai hamari basti mein
main kya bataun miyan kaun KHairiyat se hai
sabhi ka haal bura hai hamari basti mein
unhen bharosa hai tir-o-kaman par apne
hamein yaqin hai KHuda hai hamari basti mein
hazar dhunDiye banda koi nahin milta
har ek shaKHs KHuda hai hamari basti mein
har ek aankh mein aansu har ek lab pe fughan
ye kaisi aab-o-hawa hai hamari basti mein
'waqar' aaj talak bhi samajh na pae hum
ki kaun kis pe fida hai hamari basti mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.