fareb-kar parinda tha par jo mar gaya
fareb-kār parinda thā par jo maar gayā
giraft chhūT ga.ī haath se shikār gayā
yahī nahīñ hai ki va.ade kā e.atibār gayā
ik aa.ina bhī to zad meñ pas-e-ġhubār gayā
maiñ qurbatoñ kī Dagar se kahāñ nahīñ pahuñchā
ḳhudī kī jhiil meñ utrā junūñ ke paar gayā
koī charāġh jalā kar hī raat ham kāTeñ
vo raushnī kā payambar thā din guzār gayā
maiñ tere dar se tahī-dast uTh nahīñ saktā
bas ik kulāh-e-anā thī use bhī haar gayā
yahāñ to ḳhud ko samajhnā muhāl hai 'shā.eq'
mirā shu.ūr ye āḳhir kahāñ utaar gayā
fareb-kar parinda tha par jo mar gaya
giraft chhuT gai hath se shikar gaya
yahi nahin hai ki wade ka eatibar gaya
ek aaina bhi to zad mein pas-e-ghubar gaya
main qurbaton ki Dagar se kahan nahin pahuncha
KHudi ki jhil mein utra junun ke par gaya
koi charagh jala kar hi raat hum kaTen
wo raushni ka payambar tha din guzar gaya
main tere dar se tahi-dast uTh nahin sakta
bas ek kulah-e-ana thi use bhi haar gaya
yahan to KHud ko samajhna muhaal hai 'shaeq'
mera shuur ye aaKHir kahan utar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.