fareb-KHana-e-duniya bhi dekhte chaliye
fareb-ḳhāna-e-duniyā bhī dekhte chaliye
ravā-ravī meñ tamāshā bhī dekhte chaliye
ḳhud apnā maskan-e-fardā bhī dekhte chaliye
ab aa ga.e haiñ to sahrā bhī dekhte chaliye
na-jāne phir ye talātum nasīb ho ki na ho
is auj mauj meñ dariyā bhī dekhte chaliye
ba-qadr-e-sairī-e-irfāñ koī bhī rang nahīñ
dukān-e-zīst ko jitnā bhī dekhte chaliye
charāġh-e-naqsh-e-kaf-e-pā jalā.iye har-sū
magar havā kā ishāra bhī dekhte chaliye
fareb-KHana-e-duniya bhi dekhte chaliye
rawa-rawi mein tamasha bhi dekhte chaliye
KHud apna maskan-e-farda bhi dekhte chaliye
ab aa gae hain to sahra bhi dekhte chaliye
na-jaane phir ye talatum nasib ho ki na ho
is auj mauj mein dariya bhi dekhte chaliye
ba-qadr-e-sairi-e-irfan koi bhi rang nahin
dukan-e-zist ko jitna bhi dekhte chaliye
charagh-e-naqsh-e-kaf-e-pa jalaiye har-su
magar hawa ka ishaara bhi dekhte chaliye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.