fareb-KHurda hain taham koi malal nahin
fareb-ḳhurda haiñ tāham koī malāl nahīñ
hamāre ishq kā maqsad tirā visāl nahīñ
maiñ laḌ rahā thā ba-hosh-o-havās dushman se
ik aa.ina thā mire rū-ba-rū ḳhayāl nahīñ
koī umiid kisī se na koī ḳhvāb-e-hasīñ
maiñ phir bhī zinda huuñ kyā ye mirā kamāl nahīñ
tamām umr ke lamhāt haiñ tar-o-tāza
mirī nigāh meñ haa.il ye māh-o-sāl nahīñ
har ek lamha hai akkās-e-rū-e-mustaqbil
dayār-e-shauq meñ maazī nahīñ hai haal nahīñ
shikast-e-azm-e-safar kā javāz mat DhūñDo
thakā huā huuñ maiñ be-shak magar niDhāl nahīñ
har ek lamha sañvartā hai ā.ina-ḳhāna
maiñ lā-javāb nahīñ tū bhī be-misāl nahīñ
ye daur sāhib-e-ehsās pe girāñ hai bahut
yahāñ pe kaun hai insāñ jo ḳhasta-hāl nahīñ
ye iqtizā-e-usūl-e-vafā hai ai 'shāriq'
bas un se ijz hī kiije koī savāl nahīñ
fareb-KHurda hain taham koi malal nahin
hamare ishq ka maqsad tera visal nahin
main laD raha tha ba-hosh-o-hawas dushman se
ek aaina tha mere ru-ba-ru KHayal nahin
koi umid kisi se na koi KHwab-e-hasin
main phir bhi zinda hun kya ye mera kamal nahin
tamam umr ke lamhat hain tar-o-taza
meri nigah mein hail ye mah-o-sal nahin
har ek lamha hai akkas-e-ru-e-mustaqbil
dayar-e-shauq mein mazi nahin hai haal nahin
shikast-e-azm-e-safar ka jawaz mat DhunDo
thaka hua hun main be-shak magar niDhaal nahin
har ek lamha sanwarta hai aaina-KHana
main la-jawab nahin tu bhi be-misal nahin
ye daur sahib-e-ehsas pe giran hai bahut
yahan pe kaun hai insan jo KHasta-haal nahin
ye iqtiza-e-usul-e-wafa hai ai 'shaariq'
bas un se ijz hi kije koi sawal nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.