farebi zist ke naKHre uTha kar
farebī ziist ke naḳhre uThā kar
thakan hone lagī ḳhud se nibhā kar
anā merī mujhe jhukne na degī
zamāna thak gayā hai aazmā kar
kisī bhī taur jo jiitā na jaa.e
use tum jiit lenā muskurā kar
hazāroñ ḳhvāb Thukrā.e haiñ maiñ ne
tumhāre hijr meñ nīñdeñ gañvā kar
zarā sī choT par rone se pahle
kabhī to dard duniyā ke ginā kar
ġhazab manzar thā pahle rūThnā phir
tumhārā ḳhuub hañsnā khilkhilā kar
kisī ko rāste chhalte rahe haiñ
kisī ko manzileñ lā.īñ bulā kar
kabhī imdād bhijvāne se pahle
hamāre āñsuoñ se mashvara kar
tire ehsān se dil bhar gayā hai
kahāñ rakh luuñ maiñ tere ġham chhupā kar
vo shā'ir the magar meDal unheñ bhī
mile haiñ raag darbārī sunā kar
ġhazal hogī ravānī meñ tabhī jab
likhoge dard merā gungunā kar
farebi zist ke naKHre uTha kar
thakan hone lagi KHud se nibha kar
ana meri mujhe jhukne na degi
zamana thak gaya hai aazma kar
kisi bhi taur jo jita na jae
use tum jit lena muskura kar
hazaron KHwab Thukrae hain main ne
tumhaare hijr mein ninden ganwa kar
zara si choT par rone se pahle
kabhi to dard duniya ke gina kar
ghazab manzar tha pahle ruThna phir
tumhaara KHub hansna khilkhila kar
kisi ko raste chhalte rahe hain
kisi ko manzilen lain bula kar
kabhi imdad bhijwane se pahle
hamare aansuon se mashwara kar
tere ehsan se dil bhar gaya hai
kahan rakh lun main tere gham chhupa kar
wo sha'ir the magar meDal unhen bhi
mile hain rag darbari suna kar
ghazal hogi rawani mein tabhi jab
likhoge dard mera gunguna kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.